Tuesday, July 13, 2010

In Aahon kay Samundar Main ...

(( IN AAHON KAY SAMUNDAR MAIN  ))
in aahon kay samundar main
jab kuch dair ko socha karta hoon
ek shor sa ander paata hoon
har aan kisi say darta hoon
har su hi barpa toofaan hay
chaak sabhi ka girebaan hay
koi rahuma nahi koi manzil nahi
ahl-e-ikhlaas ab koi dil nahi
nafsa nafsi har su pheli hay
har chaadar zulm say meli hay
bhook nay kar choray takhleeq darinday
ban bethay rahmaan say shaitaan kay banday
masoom khwaboon ki cheekhti tabeerain hain
hirs o hawas ki atraaf main tadbeerain hain
muskurahaton ki lay li hay jaga khudgarzi nay
juda kar daala aqwaam ko apni apni marzi nay
sach ban gaya hay soday salf kay bhaao
sachay ho phir bhi daam chukaao
emaan charhaaya hum nay soli par dolat ki
ab afsanay hain baatein khuloos ki, muhabbat ki
rota tha dil humaray ajdaad ka takleef dekh kar gairon ki
ab mera ghar, meray bachay, meri dolat zanjeer hay pairon ki
amal choot gaya hum say ab sirf bayaan baaqi hain
kuch zakhmi zakhmi ahle haq humaray darmiyaan baaqi hain
ik an dekhi talwaar latakti har sar par yahan
haq mil bhi jaata aksar, magar mar kar yahan
kis qadar kijyay shikwa nizaam ka aur hukumat ka
har fard bhoola betha sabaq ye sadaqat ka
roshni umeed ki dilon kay ander hay
par andheron main gum aahon ka samundar hay
ab uthna hay har fard ko behtri kay liay
jorni hay ek ek boond sab ki khushi kay liay
khudgarzi ki chaadar khudaara phenk do utaar kar
ana chor kar apni aur insaan say piar kar
rahnumaai kaafi hay Khaatim-un-Nabi'een (SAAW) ki hum ko
sath kitaab ata ki RABBUL ALAMEEN ki hum ko
naqqaali say mizaj o tehzeeb ki kho jata hay waqar
shanaakht kho dena hi hay sab say giraan baar
"andaaz-e-bayaan garchay mera shoq nahi hay"
"shayad kay teray dil main utar jaaey meri baat"

No comments:

Post a Comment